awal-e-shab vo bazm ki raunaq shama bhi thi parvana bhi
raat ke akhir hote hote khatm tha ye afasana bhi
qaid ko tod ke nikla jab main utha ke baguule saath huye
dasht-e-adam tak jangal jangal bhaag chala viirana bhi
haath se kis ne saagar patka mausam ki bekaifi par
itna barsa tuut ke baadal duub chala maikhana bhi
khoon hi ki shirkat vo kyon na ho shirkat cheez hai jhagade ki
apanon se vo dekh raha hun jo na kare begana bhi
ek lagi ke do hain asar aur donon hasb-e-maraatib hain
lau jo lagaaye shamma khadi hai raqs mein hai parvana bhi
No comments:
Post a Comment