kis ne bheege huye baalon se ye jhataka paani
jhuum ke aayi ghata tuut ke barasa paani
ro liya phuut ke seene mein jalan ab kyon hai
aag pighla ke nikla hai ye jalta paani
koi matwali ghata thi ke jawani ki umang
jo baha le gaya barsaat ka pehla paani
tik-tiki baandhe vo phirte hain main iss fikr mein hun
kahin khane lage chakkar na ye gehara paani
baat karane mein vo unn aankhon se amrit tapka
'arzoo' dekhte hi munh mein bhar aaya paani
No comments:
Post a Comment