honton pe kabhi unnke mera naam hi aaye
aaye toh sahi bar-sar-e-ilzaam hi aaye
hairan hain lab_basta hain, dil_giir hain gunche
khushbu ki zubaani tera paigaam hi aaye
lamhaat-e-masarrat hain tasavvur se gurezan
yaad aaye hain jab bhi gham-o-aalam hi aaye
taaron se saja lenge raah-e-shahr-e-tamnna
maqaduur nahin subho chalo shaam hi aaye
yaadon ke waffaon ke aqiidon ke ghamon ke
kaam aaye jo duniya men toh iss naam hi aaye
kya raah badalne ka gila hamsafaron se
jis raah se chale tere dar-o-baam hi aaye
thak haar ke baithe hain sar-e-ku-e-tamnna
kaam aaye toh phir jazba-e-nakaam hi aaye
baaqii na rahe saakh ‘adaa dasht-e-junoon ki
dil mein agar andesha-e-anjaam hi aaye
No comments:
Post a Comment