aakhiri tees aazamane ko
jii toh chaha tha muskurane ko
yaad itni bhi sakht_jaan toh nahin
ik gharaunda raha hai dahaane ko
sang_rezon mein dhal gaye aansuu
log hansate rahe dikhaane ko
zakhm-e-naghma bhi lau toh deta hai
ik diya rah gaya jalaane ko
jalane wale toh jal bujhe aakhir
kaun deta khabar zamaane ko
kitne majboor ho gaye honge
ankahi baat muunh pe laane ko
khul ke hansna toh sab ko aata hai
log tarsate rahe ik bahaane ko
reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraaniyan jatane ko
hasarton ki panah_gaahon mein
kya thikaane hain sar chhupaane ko
haath kaanton se kar liye zakhmi
phuul baalon mein ik sajaane ko
aas ki baat ho ki saans 'ada'
ye khilaune hain tuut jaane ko
No comments:
Post a Comment