na gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhna
mere dard ki aab-o-tab mein mujhe dekhna
kisi waqt shaam malaal mein mujhe sochna
kabhi apne dil ki kitaab mein mujhe dekhna
kisi dhun mein tum bhi jo bastiyon ko tyaag do
issi rah-e-khana_kharab mein mujhe dekhna
kisi raat maah-o-najuum se mujhe puchhna
kabhi apni chashm pur_aab mein mujhe dekhna
issi dil se ho kar guzar gaye kai karvaan
ki hizraton ke zaab mein mujhe dekhna
mai. na mil sakoon bhi toh kya hua ke fasana hun
nayi dastan naye baab mein mujhe dekhna
mere khaar kKhaar sawal mein mujhe dhundhna
mere geet mein mere khwab mein mujhe dekhna
mere aansuon ne bujhaayi thi meri tashnagi
issi barg_ziida sahaab mein mujhe dekhna
vahi ik lamha diid tha ke ruka raha
mere roz-o-shab ke hisab mein mujhe dekhna
jo tadap tujhe kisi aaiine mein na mil sake
toh phir aaiine ke jawab mein mujhe dekhna
No comments:
Post a Comment