Tuesday, July 7, 2009

ada jafri ki shayyiri

shayad abhi hai raakh mein koi sharaar[spark] bhi
kyon varna intzaar bhi hai iztiraar[restlessness] bhi
dhyan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad[death of an unsuccessful/unlucky heart] ka
milane ko mil gaya hai sukoon bhi qaraar bhi
ab dhuundhne chale ho musafir ko dosto
hadh-e-nigah[limits of one's vision] tak na raha jab gubaar bhi
har aastan[threshold] pe naasiya_farsa[one who rubs his forehead] hain aaj vo
jo kal na kar sake thay tera intzaar bhi
ik raah ruk gayi toh thithak kyon gayi 'ada'
aabad bastiyan hain pahadon ke paar bhi

No comments:

Post a Comment

wel come