Tuesday, July 7, 2009

ahmed kamaal ki shayyiri

ajnabi khauf fizaaon mein basa ho jaise
sahar ka shahr hi aaseb_zada ho jaise
raat ke pichhle pahar aati hain aavaazen si
duur sahara mein koii chiikh raha ho jaise
dar-o-diivaar pe chhaaii hai udaasi aisi
aaj har ghar se janaza-sa utha ho jaise
muskurata hun pa-e-khatir-e-ahbaab[for the welcome of friends] magar
dukh toh chehre ki lakiiron pe saja ho jaise
ab agar duub gaya bhi toh marunga na 'kamaal'
behate paani pe mera naam likha ho jaise


No comments:

Post a Comment

wel come