Tuesday, July 7, 2009

ahmed kamaal ki shayyiri

koi chehra hua roshan na ujaagar aankhein
aaiina dekh rahi thiin meri patthar aankhein
le uddi waqt ki aandhi jinhen apne hamraah
aaj phir dhundh rahi hain vahi manzar aankhein
phuut nikalin toh kai shahr-e-tamnna duube
ek qatre ko tarasti hui banjar aankhein
ussko dekha hai toh ab shauq ka vo aalam hai
apne halakon se nikal aayi hain baahar aankhein
tu nigahon ki zuban khuub samajhta hoga
teri jaanib toh utha karti hain aksar aankhein
log marte na dar-o-baam se takra ke kabhi
dekh lete jo 'kamaal' usski samandar aankhein

No comments:

Post a Comment

wel come