aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat[celebration of the death of love] manaayen ham
aati nahin kahin se dil-e-zindaaki sadaa
suune pade hain kuucha-o-bazaar ishq ke
hai shama-e-anjumn ka naya husn-e-jaan gudaaz[melted]
shayad nahin rahe vo patangon ke valvale
taaza na rakh sakegi rivayat-e-dasht-o-dar
vo fitnasar[mad] gaye jinhen kaanten aziiz thay
ab kuch nahin toh neend se aankhen jalayen ham
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen ham
socha na tha ki aayega ye din bhi phir kabhi
ik baar ham mile hain zara muskura toh len
kya jaane ab na ulfat-e-deriina[old love] yaad aaye
iss husn-e-ikhtiyar pe aankhen jhuka toh len
barsa labon se phuul teri umar ho daraaz
sambhale huye toh hain par zara dagmaga toh len
No comments:
Post a Comment