akhtar ul iman ki shayyiri
shaam hoti hai sahar hoti hai ye waqt-e-ravaan[passing time]
jo kabhi mere sar pe sang-garaan[heavy stone] ban ke gira
raah mein aaya kabhi meri himaala[Himalayas] ban kar
jo kabhi ukdaa[problem] bana aisa ki haal hi na hua
ashq ban kar meri aankhon se kabhi tapka hai
jo kabhi khoon-e-jigar ban ke mizshgaan[eyelash] par aaya
aaj bevasta[without any relationship] yun guzra chala jaata hai
jaise main kashmakash-e-ziist mein shamil hi nahin
No comments:
Post a Comment