Tuesday, July 7, 2009

akhtar ul iman ki shayyiri

tumhare lahaje mein jo garmi-o-halavat[sweetness] hai
isse bhala sa koi naam do waffa ki jagah
ganiim[enemy]-e-nuur ka hamalaa kaho andheron par
dayar-e-dard mein aamad kaho masiiha ki
ravaan-davaan[scattered/spread] huye khushbu ke qaafile har suu
khala-e-subah[morning silence] mein gunji sahar ki shahanaai
ye ek kohara sa ye dhundh sii jo chhaai hai
iss iltahaab[stupor] mein surmagiin ujaale mein
siva tumhare mujhe kuch nazar nahin aata
hayat naam hai yaadon ka talkh aur shiiriin[sweet]
bhala kisi ne kabhi rang-o-buu ko pakada hai
shafaq[twilight/night] ko qaid mein rakha saba ko bandh kiya
har ek lamha gurezan[fleeing/fleeting] hai jaise dushman hai
na tum milogi na main ham bhi donon lamhe hain
vo lamhen ja ke jo vapas kabhi nahin aate

No comments:

Post a Comment

wel come