jaan-e-afsana yahi kuch bhi ho afsane ka naam
zindgi hai dil ki dhadakan tez ho jaane ka naam
qatra qatra zindagi ke zahar ka piina hai gham
aur khushi hai do ghadi pii kar behak jaane ka naam
intzaar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nuur
aur bahar-e-baag leti hi nahin aane ka naam
taab-e-nakaami[the strength to bear failure] nahin toh aarzu karta hai kya
aarzu hai mauj ke saahil se takarane ka naam
aaj tu kal koi aur hoga sadar-e-bazm-e-mai[head of the gathering of wine-drinkers]
saaqiya tujhse nahin hamse hai maikhane ka naam
waqif-e-‘mullah’ na thi bazm-e-khirad[gathering of intelligent people], ye tai hua
ho na ho, ye hai kisi mashahoor diwane ka naam
No comments:
Post a Comment