fitna phir aaj uthane ko hai sar lagta hai
khoon hi khoon mujhe rang-e-sahar lagata hai
maan lun kaise ki main aib sarapa hun faqat
mere ahbaab ka ye husn-e-nazar lagta hai
kal jise phunka tha ye keh ke ki dushman ka hai ghar
sochta hun toh vo aaj apna hi ghar lagta hai
ehatiyatan koi dar phod len diwaar mein ab
shor badhta hua kuch jaanib-e-dar lagta hai
ek darwaaza hai har samt mein khulne ke liye
hon na ho ye toh mujhe sheikh ka ghar lagta hai
No comments:
Post a Comment