sar-e-mehshar yahi puchhunga khuda se pehle
tune roka bhi tha muzrim ke khata se pehle
ashq aankhon mein hain honton pe buka se pehle
qafila gham ka chala baang-e-dara se pehle
udd gaya jaise yakaayak mere shaanon par se
vo jo ik bojh tha tasliim-e-khata se pehle
haan yahan dil jo kisi ka hai ab aaiina-e-husn
warq-e-saada tha ulfat ki ziya se pehle
ibtida hi se na de ziist mujhe dars usska
aur bhi baab toh hain baab-e-raza se pehle
main gira khaak pe lekin kabhi tumne socha
mujhpe kya beet gayi lagzish-e-paa se pehle
ashq aate toh thay lekin ye chamak aur tadap
unn mein kab thi gham-e-ulfat ki ziya se pehle
dar-e-maikhana se aati hai sada-e-saaqi
aaj serab kiye jaayenge pyase pehle
raaz-e-mayanoshi-e-‘mullah’ hua afshan varna
samjha jaata tha vali lagzish-e-paa se pehle
No comments:
Post a Comment