ye chandani bhi jinko chhuute huye darati hai
duniya unhiin phuulon kopairon se masalti hai
shohart ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis daal pe baithe ho vo tuut bhi sakti hai
lobaan mein chingaari jaise koi rakh de
yun yaad teri shab bhar siine mein sulagati hai
aa jaata hai khud khench kar dil siine se patarii par
jab raat ki sarahad se ik rel guzarti hai
aansu kabhi palakon par taa der nahin rukte
udd jaate hain yun panchhi jab shaakh lachakti hai
khush rang parindon ke laut aane ke din aaye
bichhade huye milte hain jab barf pighalti hai
No comments:
Post a Comment