yaad kisi ki chandani ban kar kothe kothe utari hai
yaad kisi ki dhuup hui hai ziina ziina utari hai
raat ki raani sahan-e-chaman mein gesu khole soti hai
raat-beraat udhar mat jaana ik naagin bhi rehati hai
tumko kya tum gazalen keh kar apni aag bujha loge
usske jii se puuchho jo patthar ki tarah chup rehati hai
patthar le kar galiyon galiyon ladke puuchha karte hain
har basti mein mujhse aage shohart meri pahunchati hai
muddat se ik ladaki ke rukhsar ki dhuup nahin aayi
issi liye mere kamare mein itni thandak rehti hai
No comments:
Post a Comment