vo thaka hua meri baahon mein zara so gaya tha toh kya hua
abhi maine dekha hai chand bhi kisi shaakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gayi hai abhi hawa vo varaq tha dil ki kitab ka
kahin aansuon se mita hua kahin aansuon se likha hua
kai meel reit ko kaat kar koii mauj phuul khila gai
koi ped pyas se marr raha hai nadi ke paas khada hua
mujhe haadason se saja saja ke bahut hasiin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka haath ho mehandiyon se racha hua
vahi khat ke jis pe jagah jagah do mahakte honton ke chaand thay
kisi bhuule-bisre se taaq[shelf] par tah-e-gard[under the dust] hoga daba hua
vahii shahr hai vahi raaste vahi ghar hai aur vahi laan bhi
magar uss dariiche se puuchhna vo darkht anaar ka kya hua
mere saath jugnu hai hamsafar magar iss sharar ki bisaat[worthiness] kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua
No comments:
Post a Comment