shayad main zindgi ki sahar le ke aa gaya
qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
ta_umar dhoondhta raha manzil main ishq ki
anjaam ye ke garde safar le ke aa gaya
nashtar hai mere haath mein kandhon pe maikada
lo main ilaaz-e-dard-e-jigar le ke aa gaya
'fakir' sanam maikade mein na aata main lautkar
ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya
No comments:
Post a Comment