ham se bahal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
saaya-e-wasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein dhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
apne khilaaf faisla khud hi likha hai aap ne
haath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
waqt ne aarzu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
zahmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
daayaraavaar hi toh hain ishq ke raaste tamaam
raah badal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
dasht ki saari raunaqen khair se ghar mein hain toh kyun
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khvaab mein chal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
No comments:
Post a Comment