yaad kya dast-e-hunar hai ki sanvarta gaya main
ussko socha toh usse yaad hi karta gaya main
issko tehziib-e-junoon kahiye ki mujhse pahle
jaise bikhare hain sabhi log bikharta gaya main
naqsh kitne thay ki madham huye silsilavaar
aur har naqsh ke pahlu se ubharta gaya main
ek tasviir banaai thi mukammal na hui
ek hi rang lahu rang tha bharta gaya main
harf-e-ikraar hi kehta raha bekhaufi se
yaani inkaar ke aashob se darta gaya main
apne andar ke talaatum ne rakkha hai aabad
khud hi ikraar kiya khud hi mukarta gaya main
har nafas badhta gaya usski tamnna ka kharosh
lamha lamha issi vehshat mein nikharta gaya main
zindgi kuu-e-malaamat hai koi kya thahre
apni hi vaza ka main hun so thaharta gaya main
No comments:
Post a Comment