ba-rang-e-buu-e-gul, iss baagh ke ham aashna hote
ki ham-raah-e-saba tak sair karte, aur hawa hote
sarapa aarzu hone ne banda kar diya humko
vagarna ham khuda thay, gar dil-e-bemudda’a hote[a heart without desire]
dil-e- falak, ae kaash ! humko khaak hi rakhta, ki uss mein hum
gubaar-e-raah hote ya kisi ki khaak-e-paa hote
ilaahii kaise hote hain jinhen hai bandgi khwahish
hamen toh sharm daaman-gaar[ashamed]
hoti hai, khudaa hote
kahen jo kuch malaamatgaar[one who speaks badly of]
, baja hai 'meer' kya jaane
unhen mallum tab hota, ki waise se juda hote
No comments:
Post a Comment