baat kya aadmi ki ban aayi
aasmaan se zamiin napavaai
charakh zan usske vaste hai madaam
ho gaya din tamaam raat aayi
maah-o-khurshiid-o-baad sabhi
usski khatir huye hain saudaai
kaise kaise kiye taraddad jab
rang rang ussko cheez pahunchai
ussko tarajah sab ke upar de
lutf-e-haq ne ki izzat afazaai
hairat aati hai usskii baaten dekh
khud saari khud sataai khud raai
shukr ke sajdon mein ye waajib tha
ye bhi karta sajda jabin saai
so toh usski tabiyat-e-sarkash
sar na laayi faro ke tuk laayi
'meer' na_chiiz musht-e-khaak allaah
unn ne ye kibariya kahaan paayi
No comments:
Post a Comment