shikwa karun main kab tak uss apne meharban kaa
al-qissa rafta rafta dushman hua hai jaan ka
dii aag rang-e-gul ne vaan ae saba chaman ko
yaan ham jale qafas mein sun haal aashiyaan ka
har subah mere sar par ik hadisa naya hai
paivand ho zamiin ka, sheva iss asmaan ka
kam-fursati jahan ke majma ki kuch na puuchho
ahwaal kya kahun main, iss majlis-e-ravaan ka
ya roye, ya rulaaye, apni toh yunhi guzri
kya zikr ham safiiran yaaran-e-shadman ka
qaid-e-qafas mein hain toh khidmat hai naaligi ki
gulshan mein thay toh ham ko mansab tha rauzakhvan ka
puuchho toh 'meer' se kya koi nazar pada hai
chehra utar raha hai kuch aaj us jawan ka
No comments:
Post a Comment