Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

faqirana aaye sada kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jeene ko kahte thay hum
so iss ahd ko ab waffa kar chale
koi na-ummidana karte nigaah
so tum humse muh bhi chhipa kar chale
bahut arzu thi gali ki teri
so yan se lahu mein naha kar chale
dikhai diye yun ki bekhud kiya
hamen aap se bhi juda kar chale
jabin sajda karte hi karte gayi
haq-e-bandgi hum ada kar chale
parastish ki yan tai ki ae ! buut tujhe
nazar mein sabon ki khuda kar chale
gayi umar dar band-e-fikr-e-gazal
so iss fan ko aisas bada kar chale
kahen kya jo pooche koi humse "meer"
jahan mein tum aaye thay kya kar chale

No comments:

Post a Comment

wel come