patta-patta buuta-buuta haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane, baag toh saara jaane hai
lagne na de bas ho toh usske gauhar-e-gosh ke baale tak
ussko falak chashm-e-mai-o-khor ki titali ka taara jaane hai
aage uss mutaqabbar[arrogant] ke ham khuda khuda kiya karte hain
kab mojuud khuda ko vo magroor khud-aara jaane hai
ashiq sa toh sada koi aur na hoga duniya mein
jii ke ziaan ko ishq mein usske apna vaara jaane hai
chaaragari bimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin
varna dilbar-e-nadan bhi iss dard ka chara jaane hai
kya hi shikar-farebi par magroor hai vo sayyad bachcha
ta'er udate hawa mein saare apni usara jaane hai
mehar[mercy]-o-waffa-o-lutf-o-inayat ek se waqif inn mein nahin
aur toh sab kuch tanz-o-kanaya[taunting] ramz-o-ishara[hinting at jaane hai
kya kya fitne[ordeals] sar par usske lata hai mashooq apna
jis bedil betaab-o-tavan[restless] ko ishq ka maara jaane hai
ashiq toh murda hai hamesha jii uthata hai dekhe usse
yaar ke aa jaane ko yak’a’yak umar do baara jaane hai
rakhanon se diwaar-e-chaman ke munh ko le hai chhipa ya'ani
unn surakhon ke tak rehne ko sau ka nazara jaane hai
tashna-e-khoon hai apna kitna 'meer' bhi nadan talkhiikash
dam_daar aab-e-teg ko usske aab-e-gawara jaane hai
No comments:
Post a Comment