Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

'meer' dariya hai, sune sher zabani usski
allah allah re tabiyat ki ravani usski
minh[water] toh bochhar ka dekha hai baraste tumne
issi andaz se thi ashq-fishani usski
baat ki tarz ko dekho toh koi jadu tha
par mili khaak mein sab sahar[magic] bayaani usski
marsiya[sad poem]-e-dil ke kaii keh ke diye logon ne
shahr-e-dilli mein hai sab paas nishani usski
ab gaye usske jo afasos nahin kuch haasil
haif[alas !] sad[hundred] haif ki kuch qadr na jaani usski

No comments:

Post a Comment

wel come