jeete-ji kucha-e-dildar se jaaya na gaya
usski diivaar ka sar se mere saaya na gaya
dil ke taaiin aatish-e-hijran se bachayaa na gaya
ghar jala saamne par ham se bujhaya na gaya
kya tunak hausla thay deeda-o-dil apne aah
ek dam raaz mohabbat ka chhupaya na gaya
dil jo diidaar ka qaayel ki bahot bhuuka tha
iss sitam-kushta[tortured] se yak zakhm bhi khaya na gaya
shahr-e-dil aah azab jaaye[place] thi par usske gaye
aisa ujada ki kisi tarah basaya na gaya
No comments:
Post a Comment