jis sar ko garuur aaj hai yaan taajavari[to reign] ka
kal uss pe yahin shor hai phir nauhagari[to mourn] ka
aafaq[zenith] ki manzil se gaya kaun salamat
asbaab[belongings] luta rah mein yaan har safari[traveller] ka
zindaan[prison] mein bhi shorish[turbulence] na gayi apne junoon ki
ab sang madavaa[cure] hai is ashuftasari[mad] ka
har zakhm-e-jigar daavar-e-mahashar[god
] se hamara
insaaf talab hai teri bedadagari ka
iss rang se jhamke hai palak par ke kahe tu
tukara hai mera ashq aqiiq-e-jigari ka
le saans bhi naazuk ke aahista hai bahut kaam
aafaaq ki iss kaargah-e-shiishagari ka
tak meer-e-jigar-sokhta[burnt liver] ki jald khabar le
kya yaar bharosa hai chiragh-e-sahari ka
No comments:
Post a Comment