jo iss shor se 'meer' rota rahega
toh ham-saaya kaahe ko sota rahega
main vo ronewala jahan se chala hun
jise abr har saal rota rahega
mujhe kaam rone se hardam hai naasih
tu kab tak mere munh ko dhota rahega
base giriya aankhen teri kya nahin hain
jahan ko kahan tak dubota rahega
mere dil ne vo naala paida kiya hai
jaras ke bhi jo hosh khota rahega
tu yun gaaliyan gair ko shauq se de
hamen kuch kahega toh hota rahega
bas ae 'meer' mizhgaan[eyelashes] se ponch aansuon ko
tu kab tak ye moti pirota rahega
No comments:
Post a Comment