ussko aana hai aur be-naqaab aayega
jab tamana pe mere shbaab aayega
zulmaton ke pujari kahan jaayenge
jab chamkta hua aftaab aayega
aaj kal mujhse vo baat karta nahin
aur ab kya zamana khrab aayega
rang laayega jab khoon mazluumon ka
vo zamana bhi jaldi janaab aayega
maalik-e-maikada rind ho jaayenge
maikade mein naya inqalaab aayega
saath uss ke siva koi dega nahin
jab 'sadik' ka zamana khrab aayega
No comments:
Post a Comment