Sunday, August 23, 2009

bhagwan tujhe main khat likhta, par tera pata mallum nahin

bhagwan tujhe main khat likhta, par tera pata mallum nahin
buron ki jeet duniya mein, bhalaai thokarein khaaye
yahan kya ho raha maalik, ye kaise koi batalaye
roa roa likhta jag ki bipata, par tera pata mallum nahin

duniya mein tujhe bura lage ya bhala lage, teri duniya apne ko jammi nahin
kuch kehte huye darr lagta hai yahan, dushton ki kuch kammi nahin maalik
maalik tujhe main sab kuch samjhaata, par tera pata mallum nahin

mallum nahin mere sar pe dukhon ki gathari hai, raaton ko nahin main sota hun
kahin jaag uthe na padosi iss liye zor se nahin main rota hun
tere saamne baith ke main rota par, tera pata mallum nahin

nahin kuch kahun toh duniya kehti hai aansu na baha bakwaas na kar
aisi duniya mein mujhe rakh ke maalik, mera satyaanaas na kar
tere paas main khud hi aa jaata, par tera pata mallum nahin

vo kuch iss ada se milta hai

vo kuch iss ada se milta hai
dard jaise dawa se milta hai
be-muravvat sahi pa' kya kijiye
dil ussi bewaffa se milta hai
phail jaati hai aag jangle mein
jab bhi shola hawa se milta hai
hai vo aaludgi fazaon mein
zehar humko hawa se milta hai
usski athkheliyon ka kya kehna
khwab mein bhi ada se milta hai
har kali ko mijaaz sharmila
teri sharm-o-hayya se milta hai
zindgi mein sukoon mujhko 'zaheen'
jaane kiski dua se milta hai

koi tumsa na humsafar hoga

koi tumsa na humsafar hoga
jo mere gham se bekhabar hoga
tumko ye bhi khabar nahin shayad
tere bin koi deeda-tar hoga
zindgi chaar din ki hai phir tu
gham ka qissa bhi mukhtsar hoga
koi dega meri waffa ka sila
koi toh yaan pe maatbar hoga
iss jahan ka nahin hai vo shayad
chaand ka ghar bhi chaand par hoga
kaala til hai jo tere gaalon par
koi jaduu na kaargar hoga
teri chahat mein koi hoga 'seraj'
koi tera bhi muntazar hoga !

meri nakaami

dil mein nakaam hasratein le kar
apne seene mein chahatein le kar
jaane kitni umange saath liye
jaane kitne hi khwab saath liye
apni manzil talaash karne ko
chal diye besabab usse paane
vaada ussne kiya tha milne ka
vo chali aayi mujhse milne; magar
apne dil mein dabaye pyar mera
usska milna bhi aisa milna tha
gaiir se jaise koi milta hai
sochta tha ki uss se mil ke sabhi
zakhm apne tamaam bhar lunga
dil ka har dard ab milta lunga
vo mera zakhm bhar na paayi koi
dard dil ka mita na paayi koi
darr lage hai samaj se ussko
jhoothe reeti-riwaaz se ussko
aaj samjha hun pyar ki aukaat
pyar darta hai duniyadaari se
main ye kehta hun tumse ae logo
darr hai dil mein samaj tumko
jhoothe reeti-riwaaz ka tumko
toh ye bhoole se pyar mat karna
kyunki dil tuut'te hain pyar bhare
aur ab kya sunaaun main tumko
main chala aaya apne khwab liye
apni nakaam hasratein le kar
ussko illzam bhi toh doon kaise
vo mera pyar hai; meri jaan hai
vo meri dhadkanon mein; meri saanson mein
mere dil mein basi rahegi sada
jaise khushboo basi hai phoolon mein

har maslaa 'masal' se maslaa nahin jaata

har maslaa
'masal' se
maslaa nahin jaata
ho chaukhat pe sailaab
toh uss se lada nahin jaata

jab se suna
ki lakeeiron mein takdeer hai meri
mere haathon se
mera haath
mala nahin jaata

samandar mein mandir
kahin chhupa hai jaroor
bina juute utaare
uss mein utra nahin jaata

jab bhi sanwarti hain
bohat bhigadti hain julfein
kehin hain
kyun azad hamen rakha nahin jaata ?

mujhe hoti samjh
toh tumhen na batata ?
ki kuch hoti hai baatein
jinhen kaha nahin jaata !!

kai roz ho chuke hain mujhe apna ghar sajaaye

meri soch hai adhoori mere lafz hai paraaye
veh ghazal kahan se laaon jo tumhen pasand aaye ..
mere pyar ke bharam ko mere dastan-e-gham ko
kai log sun ke roye kai log muskuraaye ..
mere paas kuch dinon se mera aaiina nahin hai
kai roz ho chuke hain mujhe apna ghar sajaaye ..
kahin raaste mein uss ne mera haath choo liya tha
toh kalaaiyon ke kangan kai roz khankhanaaye ..
meri yeh tamnna 'bedil' kabhi ho saki na poori
ki main rooth jaaon jab bhi mujhe aa ke vo manaaye ..

mere hi lahu par

mere hi lahu par guzar auqaat karo ho
mujhse hi amiiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
vo dost ho dushman ko bhi maat karo ho
ham khaaq_nashin tum sukhan_aaraai sar-e-baam
paas aa kar milo duur se kya baat karo ho
ham ko jo milaa hai vo tumhin se toh mila hai
hum aur bhula den tumhen kya baat karo ho
yun toh munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab waqt pade hai toh madarat karo ho
na daman pe koi chiint na khanjar pe koi daag
tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho
bakne do 'aajiz' ko jo bole hai bake hai
diwana hai diwane se kya baat karo ho

Ye soch ke milna

Ye soch ke milna ki jab miloge use,
Wo kuchh na kahega to kya kahoge use !
vo aayega toh apne aap mein kab aaoge tum,
vo chala gaya toh juda kis tarah karoge usse !
abhi dhoop hai jitna jii chahe dekh lo ussko,
chirag le ke kahan dhoondhte firoge usse !
vo raushni ki tarah, haath kaise aayega,
tamaam umra faqat dekhte rahoge usse !!

waise hi ...

tujhe hai mashq-e-sitam ka malaal, waise hi ...
hamari jaan hai, jaan par wabal, waise hi ...
chala tha zikr zamane mein bewaffai ka ...
so aa gaya tha tumhara khayal, waise hi ...
hum aa gaye hain teh-e-daam, usski qismat hai ...
wagrna ussne toh phenka tha jaal, waise hi ...
zamana humse bhala dushmani bhi kya karta ...
tu kar gaya hamen payemal, waise hi ...
mujhe bhi shonq na tha dastan sunane ka ...
faraz uss ne bhi pucha tha haal, waise hi ...

shabnam nahin mili

shabnam nahin mili na gire aasmaan ke phool
chadhti jawani sookh gaye gulsitaan ke phool
hum adhkhile rahe ke bahaaren nahin milin
ab kaise muskarayen ke hain hum khizaan ke phool
sookhe huye gulaab mile jab khuli kitaab
yun dil ke mere paas rahe mehrbaan ke phool
aansoo hamare hain ke sitare chamak gaye
dekho rukh-e jamaal par ye kahkashaan ke phool
raah-e adab pe chal diye le kar chiragh-e noor
sozaan hain rahguzar mein mere karwan ke phool
phoolen phalen mahakte rahen subho shaam roz
khushboo bikheren duniyan mein Hindostaan ke phool
hum phir kahenge tumse kisi roz aaye 'seraj'
hote nahin hain khatm meri dastan ke phool !

kitna dushwaar tha

kitna dushwaar tha,duniya !...ye hunar aana bhi;
tujhse hi fasla rakhna....tujhe apnana bhi..
kaisi aadaab-e-numaaish ne lagaayeen shartein;
phool hona hi nahin....phool nazar aana bhi.
dil ki bigdi huyi aadat se... ye... ummid na thi;
bhool jaayega.... ye ek din.... tera yaad aana bhi.
jaane kab ....shahr ke raston ka badal jaaye mizaaj;
itna aasan toh nahin....laut ke ghar aana bhi.
aise rishte ka bharm rakhna koi khel nahin;
tera hona bhi nahin...aur...tera kehlana bhi.
khud ko pahchan ke dekhe toh... zara.. ye dariya;
bhool jaayega .....samandar ki taraf ....jaana bhi.
jaan-ne waalon ..ki iss bheed se ...kya hoga 'waseem;
iss mein... ye dekhiye....koi....mujhe pahchana bhi........

ek tamanna hai

ek tamanna hai fakat mujh pe meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai

jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya

jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya
aaj kya jaaniye kya yaad aaya
phir koi haath hai dil par jaise
phir tera ahd-e-waffa yaad aaya
jis tarah dhund mein lipte huye phool
ek ek naqsh tera yaad aaya
aisi majbuuri ke aalm mein koi
yaad aaya bhi toh kya yaad aaya
ae rafiq sar-e-manzil jaakar
kya koi aablaapa[paer ke chhale] yaad aaya
yaad aaya tha bichadna tera
phir nahin yaad ke kya yaad aaya
jab koi zakhm bana daag bana
jab koi bhool gaya yaad aaya
ye muhbbat bhi hai kya rog 'faraz'
jisko bhuule vo sada yaad aaya

ramzaan

bezubanon ko jab vo zuban deta hai
padhne ko phir vo quran deta hai
bakshne pe aata hai jab ummat ke gunahon ko
tohfe mein gunahgaron ko ramzaan deta hai

lahu behta hua dekha

lahu behta hua dekha toh peena choot jayega
mere jaisi ghazal mat keh pasiina choot jayega
tumhari bewaffai toh hamen manzoor hai lekin
tumhare saath rehne se madiina choot jayega
hamen ae maut thode din ki mohlat chahiye tujhse
nahin toh humse rozo ka mahina choot jayega

yeh pagali

har ek awaaz ab urdu ko fariyaadi batati hai
yeh pagali phir bhi ab tak khud ko shezadi batati hai
kai baatein muhbbat sab ko buniyaadi batati hai
jo pardaadi batati thi vahi daadi batati hai
jahan pichle kai barson se kaale naag rehte hain
vahan ek ghonsla chidyon ka tha daadi batati hai
abhi tak yeh ilaaka hai ravadaari ke qabze mein
abhi firqaparasti kam hai abaadi batati hai
yahan viraaniyon ki ek muddat se hukumat hai
yahan se nafratein guzri hai barbaadi batati hai
lahu kaise bahaya jaaye yeh leader batate hain
lahu ka zayeka kaisa hai yeh khaadi batati hai
gulaami ne abhi tak mulaq ka peecha nahin choda
hamen phir qaid hona hai yeh azaadi batati hai
garibi kyun hamaare shehr se bahar nahin jaati
amiir-e-shehr ke ghar ki har ek shadi batati hai
main unn ankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai

zindgi ka surag

dard bhari zindgi ka surag dhoondhta hun
andhera bohat hai ek chiraag dhoondhta hun
banaya tha tamasha zindgi ka iss tarah
ki unn meharbanon mein ilaaz doondhta hun
koi inn andheron mein mere dil ka chirag jala de
main apne badnaseebi ka raaz dhoondhta hun
hasrat ka aaiina uss pathar dil ne tod diya
sheeshon ke unn tukdon mein main apna aaj dhoondhta hun
maazi ke talakh lamhon ne mujhe jhulsa diya
dil ko behalaane ka hasin khwaab dhoondhta hun

zindgi

zamana hum diwano se uljhana chhod de
zindgi humse ulajh kar aaj tak mushkil mein hai

tu kya gaya

tu kya gaya ki sabki nighaein badal gayi
sunta hun apne baare mein raayein nayi nayi

vo shaks

ab toh iss raah se vo shaks guzarta bhi nahin
ab kis ummid pe darwaaze se jhaanke koi

zid

agar ye zid hai ki mujhse dua salaam na ho
toh aisi raah se guzaro jo raah-e-aam na ho

bas ik qadam pada tha galat

bas ik qadam pada tha galat, raah-e-shonq mein
manzil tamaam umar hamen dhoondhti rahi

rakhshe-umr

rau mein hain rakhshe-umr kahan dekhiye thame
ne haath baagh par hain na pa hain raqaab mein

qadar insan ki

qadar insan ki ghat ghat ke yahan tak pohnchi
ab toh qeemat mein riayat bhi nahi kar sakte

ishq ki aisi rivayat

dil toh rota rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivayat ne dil tod diya

rukh hawaon ke

rukh hawaon ke dekhta hun main
rakh ke apne makan ki buniyaad

rukuaa

rukuaa[letter] chori se usse bheja hai anjaan ke haath
kaisi ruswai ho, padh jaaye jo darbaan ke haath

hum milenge qayamat mein

main jo kehta hun ki hum milenge qayamat mein tumhen
kis ruaanat[pride] se vo kehte hain ki hum hoor nahin

ye ruquaa kya

ye ruquaa[namaz ke liye jhukna] kya, ye qayaas kya, ye sajood kya, ye salaam kya
faqat ik fareb-e-niyaaz hai, jo na mehviyat ho namaaz mein

ye ilm ka sauda

ye ilm ka sauda, ye risaale, ye kitaaben
ik shaks ki yaadon ko bhulane ke liye hain

hum bhi sunate

haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab vo rukhsat hua tab yaad aaya

maut aayi thi

mere hote rishta qayam kar liya kyun gaiir se
maut aayi thi mujhe, kya marr gaya tha, main na tha

ruswa kiya hai

main zindgi ka bojh liye doob toh gaya
ruswa kiya hai laash ne paani pe tair kar

na wasaail na zaraaye

na wasaail, na zaraaye, na marasim, na rasuukh
kis tarah kaam tera, ae dil-e-nakaam bane

ruu-e-sukhan

ruu-e-sukhan kisi ki taraf aur nazar kahin
main unnke dekhne ki ada dekhta raha

rudaad-e-gham

na kyun ho iss ada par ishq ki khuddariyan sadqe
unnhen rudaad-e-gham sun sun ke hairat hoti jaati hai

ruuhfarsa khabar

dil, ki guzre dinon ka tha maara hua,
aane wale dinon se bhi darne laga
roz dashti hai ek ruuhfarsa[painful] khabar
roz suraj mujhe qatl karne laga

yaad-e-jaana

yaad-e-jaana bhi azab ruuhfiza aati hai
saans leta hun toh zannat ki hawa aati hai

ruuh zahid ki

maikade mein ruuh zahid ki kahin aati na ho
kal toh ek saagar tha gayab aaj ek bottal gayi

kis munh se

kis munh se apne aap ko kehta hai ishqbaaz
ae ruusiyah[paapi] tujhse toh, ye bhi na ho saka

wel come