ye dil ye paagal dil mera kyu bujh gaya awaargi
iss dasht mein ek shehr tha vo kya hua awaargi
kal shab mujhe be-shakl si awaaz ne chaunka diya
maine kaha tu kaun hai uss ne kaha awaargi
logo uss shahr mein bhala kaise jeyenge hum jahan
ho jurm tanha sochna, lekin saza aawargi
ek tu ke sadiyon se mere hum raah bhi hum raaz bhi
ek main ke tere naam se na_aashna awaargi
yeh dard ki tanhaiyaan yeh dasht ka viraan safar
hum log toh ukta gaye apni suna awaargi
ek ajnabi jhonke ne jab pocha mere gham ka sabab
sahara ki bheegi rait par maine likha awaargi
le ab toh dasht-e-shab ki saari vusaatein sone lage
ab jaagna hoga hamein kab tak bata awaargi
kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khaab mein
'mohsin' mujhe raas aayegi shayad sadaa awaargi
No comments:
Post a Comment