saaf zaahir hai nighahon se ki hum marte hain
munh se kahate huye ye baat magar darte hain
ek tasvir-e-muhabat hai jawani goyaa
jis mein rango ki ivaz, khoon-e-jigar bharte hain
ishrat-e-raftaa ne ja kar na kiya yaad hamen
aasman se kabhi dekhi na gai apni khushi
ab ye haalat hain ki hum haste huye darte hain
sher kahate ho bahut khoob tum 'akhtar' lekin,
achche shaayar ye suna hai ki jawan marte hain
No comments:
Post a Comment