Friday, May 22, 2009

unknown

batao dil ki baazi mein bhala kya baat gehri thi
kaha yun toh sab kuch theek tha par maat gehri thi
suno barish ! kabhi khud se bhi koi badh ke dekha hai ?
jawab aaya, inn ankhon ki magar barsaat gehri thi
suno petam ne hole se kaha tha kya ? bataoge ?
jawab aaya, kaha toh tha magar vo baat gehri thi
diya dil ka samandar uss ne tum ne kya kiya ussko ?
hamen bas duub jana tha ke ye saughat gehri thi
waffa ka dasht kaisa tha, batao tum pe kya beeti
bhatak jana hi tha humko wahan par raat gehri thi
tum usske zikar par kyun duub jaate ho khayalon mein ?
rafaqat aur adawat apni uss ke saath gehri thi
nazar aaya tumhen iss ajnabi mein kya bataoge ?
suno qatil nigahon ki vo zalim ghaat gehri thi

No comments:

Post a Comment

wel come