tohmaten chand apne zimme dhar chalte
jis liye aaye thay so hum kar chale
zindgi hai ye koi tuffan hai
hum toh iss jeene ke hathon marr chale
kya hamen kam iss gulon se ae ! saba
ek dam aaye idhar udhar chale
dosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush hum toh apne ghar chale
aah bas, ji mat jala, tab janiye
jab koi afsun tera uss par chale
shama ki manind hum iss bazm mein
chasm-nam aaye thay daman-tar chale
dhundte hain aap se uss ko pare
sheikh sahib chod ghar bahar chale
hum jahan mein aaye thay tanhawale
saath apne ab usse le kar chale
jun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare hum bhi apni bari bhar chale
ek main dil resh hun waisa hi dost
zakham kitnon ka suna hai bhar chale
hum na jaane paaye bahar aap se
wo bhi arre a gaya jidhar chale
saqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale
'dard' kuch malum hai ye log sab
kis taraf se aaye thay kidhar ko chale
No comments:
Post a Comment