Sunday, May 10, 2009

fana nizami kanpuri ki shayyiri

dil se agar kabhi tera armaan jayega
ghar ko laga ke aag ye mehmaan jayega
sab honge uss se apne tarruf ki fikr mein
mujhko meri surat se pehachan jayega
iss kufr-e-ishq se mujhe kyon rokate ho tum
imaan walo mera hi imaan jayega
aaj uss se maine shikwa kiya tha shararatan
kis ko khabar thi itna bura maan jayega
ab uss muqaam par hain meri beqarariyaan
samjhane wala hoke pasheman jayega
duniya pe aisa waqt padega ki ek din
insaan ki talash mein insaan jayega

No comments:

Post a Comment

wel come