kafi dino jiya hu kisi dost ke bagair
ab tum bhi sath chodne ko
keh rahe ho khair!
kab se tere dayar mein hun main tere bagair
mujhse hai asman ko
khuda vaste ka bair!
yun zindgi guzar raha hu tere bagair
jaise kare khaza mein koi
gulsitan ki sair!
baandho saffe namaz-e-zamaat ke vaste
main kaun? Ae! suukhe-harm
paishemame dair!
jate hai daag sohbat-e-shab ka liye huye
achcha jo ho saka toh kal
ayenge shab-a- khair!
ukbha ki zindgi ka khuda hafiz ae! nadeem
hum toh man rahe hai isse
zindgi ki khair!
ta-haal ho sake na hum aahung saaj-e-dehr
kaano mein aa rahi hain abhi
ek sada-e-gair!
akhlak-e-tab-aen-yaar tujhe maan'na pada
milna usi tapak se vo
khawhish ho ki gair!
jo bhi nigah uthti hai mehkada-badosh
ae! nargish-e-siyah
teri niyatein ba'khair!
takdeer-e-husn-o-ishq hai alvida
hai jindgi agar toh kabhi
phir milnge khair!
rahein pukarti hain ki saheb pare-pare
shole bechhe huye hai, dilo k bacha k paair
is kurb se to dard-e-"firaq" aur badh gaya
'ghar jab bana liya tere dar par kahe bagair'
No comments:
Post a Comment