na galiyaan hain, na ghar, kuch bhi nahin hai
sitaaron se udhar kuch bhi nahin hai
thakan kahtii hai aa ghar laut jaayen
musafir ye safar kuch bhi nahin hai
parinde toh azal ke be-waffa hain
khizan mein shaakh par kuch bhi nahin hai
mera bhai se rishta khuun ka hai
talluq hai magar kuch bhi nahin hai
ye almaari toh hai waisi ki waisi
kitabon ka asar kuch bhi nahin hai
abhi duniya hai meri naa-mukammal
falak ya baal-o-par[capability to fly] kuch bhi nahin hai
No comments:
Post a Comment