misal isski kahan hai zamane mein
ki sare khone ke gham paaye humne paane mein
vo shakl pighli toh har shai mein dhal gayi jaise
ajeeb baat hui hai usse bhulane mein
jo muntazir na mila, vo toh hum hain sharminda
ki humne der laga di palat ke aane mein
lateef tha wo takhaiyul se, khwab se naazuk
gawa diya humne hi usse aazmaane mein
samajh liya tha kabhi ek saraab ko dariya
par ek sukoon tha humko fareb khane mein
jhuka darakht hawa se, toh andhiyon ne kaha
zyada farq nahin jhuk ke toot jaane mein
No comments:
Post a Comment