qisse hain khamoshi mein nihan aur tarah ke
hoten hain gham-e-dil ke bayan aur tarah ke
thi aur hi kuch baat ke tha gham bhi gawara
haalat hain ab dar paiyee jan aur tarah ke
ae rah ro-e-rahe waffa dekh ke chalmna
iss rah mein hain san-e-garan aur tarah ke
khatka hai judai ke na milne ki tamanna
dil ko hai mere veham-o-ghuman aur tarah ke
duniya ko nahi taab mere dard ki ya rab
de mujhko asaleeb-efooqa'n aur tarah ke
hasti ka bharm khol diye ek nazar ne
ab apni nazar mein hain jahan aur tarah ke
lashkar hai na perchm hai na daulat hai na sarwat
hain khaak nashino'n ke nishan aur tarah ke
marta nahi ab koi kisi ke liye nasir
thay apne zamane ke jawan aur tarah ke
No comments:
Post a Comment