Friday, May 29, 2009

rafiquzzaman ki shayyiri

kitna poshida[hidden] hawaaon ka safar rakha gaya
aane wale mausamon se be-khabar rakha gaya
aaj bhi phirta hun usski justuju mein har taraf
kaun si basti mein aakhir mera ghar rakha gaya
chand mubham[difficult] khwab aankhon mein liye phirta hun
aur kya mere liye zaad safar rakha gaya
doston mein kuch meri pehchan toh baaqi rahe
iss liye mujh mein ajab ajab hunar rakha gaya
iss hatheli par chamakti ret ke zarre hain ab
jis hatheli par kabhi ganj-guhar rakha gaya
mera apna khauff hi kya kam tha lekin ai 'rafiq'
meri apni zaat mein kis kis ka darr rakha gaya

No comments:

Post a Comment

wel come