yunhi apnon ke dil mein shaq koi paida nahin karte
jo lab tak aa gayi uss baat ko roka nahin karte
kisi se aadatan yunhi koi vaada nahin karte
agar kar hi liya toh phir usse toda nahin karte
vo dega toh magar gaata phirega saari duniya mein
kisi kamzarf insaan se madad maanga nahin karte
vo har zumle pe sanse daad ki ummid karte hain
magar sunkar mere ashaar kuch bola nahin karte
ye mana zindgi phailav ka hi naam hai lekin
simtna bhi ho mushkil itna bhi phaila nahin karte
ye saaya denge, gul denge ya denge bade hokar
yun paudon ko sada lalch mein hi paala nahin karte
bayan-e-dard mein mere maza paate hain charaagar
yun mujh bimar ko vo jankar achcha nahin karte
sabhi ki fitraten apni sabhi ki mushkilen apni
sabhi ko ek paimane se hi aanka nahin karte
bade logon ki mehfil mein mujhe le toh chale ho par
batate mujhko tum rehna vahan kya kya nahin karte
kahin kehna zaroori hai kahin parda munaasib hai
sabhi ke saamne dil ko 'rishi' khola nahin karte
No comments:
Post a Comment