tera jalwa nihayat dil_nashin hai
muhbbat lekin isse bhi hasin hai
junoon ki koi manzil hi nahin hai
yahan har gaam, gaam-e-avvalin hai
suna hai yun bhi aksar zikr unnka
ki jaise kuchh talluq hi nahin hai
maseeha ban ke jo nikle thay ghar se
lahu mein tar unnhin ki aastin hai
main raah-e-ishq ka tanha musafir
kise aawaz dun, koi nahin hai
‘shamim’ ussko kahin dekha hai tumne
suna hai vo rag-e-jaan ke qariin hai
No comments:
Post a Comment