issi tarah se har ek zakhm khushnuma dekhe
woh aaye toh mujhe ab bhi hara bhara dekhe
guzar gaye hain bohat din rafaqat-e-shab mein
ek umar ho gayi chehra woh chand sa dekhe
mere sakoot se jis ko gile rahe kya kya
bicharte waqt inn aankhon ka bolna dekhe
tere siwa bhi kai rang khush nazar thay magar
Jo tujhko dekh chuka ho woh aur kya dekhe
bas ek rait ka zara bacha tha aankhon mein
abhi talak jo musafir ka rasta dekhe
ussi se pooche koi dasht ki rafaqat jo
jab aankh khole paharon ka silsila dekhe
tujhe aziz tha aur maine ussko jeet liya
meri taraf bhi toh ek pal tera khuda dekhe
No comments:
Post a Comment