Saturday, May 30, 2009

unknown

dukh dard ke maaron se mera zikar na karna...
ghar jao toh yaaron se mera zikar na karna...
woh zabt na kar payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na karna...
phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikar na karna...
shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayen...
ab chaand sitaron se mera zikar na karna...
woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron se mera zikar na karna...
shayad woh mere haal pe besakhta roa dein...
iss baar baharon se mera zikar na karna...
le jayenge gehrai mein tumko bhi baha kar...
dariya ke kinaron se mera zikar na karna...
woh shaks mile toh usse har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikar na karna...

No comments:

Post a Comment

wel come