tum meri waffaon ka sila kyun nahi dete
ya phir meri saanson ko ghata kyun nahin dete ?
hai khaak hui jal kar, hasrat-e-muhbbat
chingariyon ko bhujhti, hawa kyun nahi dete ?
jeene ka maqsad ab toh, kuch bhi nahin baki
marne ka bahana bhi bata kyun nahin dete ?
badhne laga hai dard andheron sa zamiin par
tum ummiid-e-shamakoi, jala kyun nahi dete ?
mujhe hadh se guzarne ka koi shauq nahi hai
meri hadh kya hai mujhko bata kyun nahi dete
rukhsat hui ja rahi hain khushiyan sabhi
tum bachi hui aas ko bhi baha kyun nahin dete ?
yaadon ka dariya simt kar ek boond reh gaya hai
iss boond ko ankhon se baha kyun nahi dete
ruk ruk ke subakne se toh achcha yahi hoga
ek baar hi jii bhar ke rula kyun nahi dete
No comments:
Post a Comment