ghum-e-hijr-e-yaar kab tak, rahoon be-qarar kab tak
mere dil bata ye mujhko, karoon ussko pyar kab tak
ye hujoom-e-na-muradi ghum-e-be-shumar kab tak
teri baat ka bharosa tera intezaar kab tak
shab-e-hijr ki udasi kahin mujhko le na doobe
meri dhadkano pe hoga tera ikhtiyyar kab tak
na hi aaj ka bharosa na hi kal ki hain umeeden
teri raah guzar takun main shab-e-wasl-yaar kab tak
main nikal padi thi tanha liye saare ranj dil par
magar phir khayal aaya ke sahoon yeh baar kab tak
meri ankhein tak rahi hein teri vapsi ki raahein
tu hi ab bata de mujhko karoon intezar kab tak
mujhae yun toh deygeya hai woh dilasa jaate jaate
magar ab yeh sochti hoon karoon aitbaar kab tak
No comments:
Post a Comment