ishq fana ka naam hai ishq mein zindagi na dekh
jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshani na dekh
shauq ko rah_numa bana jo ho chukaa kabhi na dekh
aag dabi hui nikaal aag bujhi hui na dekh
tujhko Khuda ka vaasta tu meri zindagi na dekh
jis ki sahar bhi shaam ho uski siyaah shavi na dekh
No comments:
Post a Comment