Saturday, May 30, 2009

unknown

yaadon ko apne dil se mita kyun nahin dete
jo ja chuka hai ussko bhula kyun nahin dete
mujrim hun main tera mujhe itna toh bata
khamosh khade ho kyun saza kyun nahin dete
usse jis ke zakhm hain inayat teri
gar hai tumhare paas toh dawa kyun nahin dete
kayi ghar nahin baste hain jin ki wajah se
unn ad-jali rasmon ko jala kyun nahin dete
ussne tumhari khatir kya kya nahin kiya
tum usski waffaon ka sila kyun nahin dete
tumhen mujhse mohbbat hai janta hun main
ye baat apne lab se bata kyun nahin dete
anmol khazana hai muskurahtein teri
thoda sa isse mujhpe luta kyun nahin dete
vo aag jo dil mein lagaai thi kabhi tumne
vo aag aaj khud hi bujha kyun nahin dete
ek arsa hua chaiin se soye huye humko
mera chaiin, meri neendein chura kyun nahin lete

No comments:

Post a Comment

wel come