Friday, May 29, 2009

zulfiqar ali bokhari ki shayyiri

hum abhi aur bhi kuch roz pareshan honge
uqd-e-mushkil[difficult knot] hain toh mushkil se hi aasan honge
taKht apna hai magar waqt nahin hai apna
waqt aaya toh hamin log sulemaan honge
habs[confinement] iss shahr mein aisa hai ke dam ghut'ta hai
kab bahaar aayegi kab chaak gariibaan honge
aaj uss bazm-e-tarab mein hamen le chal ae dil
aaj hamdard ke maare bhi ghazal-khvaan honge
ye jo hain shahr ke waaiz, ye khatibaan-e-kiraam[exalted orators]
ye bhi allah ne chaha toh musalmaan honge

No comments:

Post a Comment

wel come